kitni shaklon mein dhal gaya hun main jal gaya hun pighal gaya hun main ek qatra hun be-haqiqat sa kitne dariya nigal gaya hun main raat jugnun kuchh is tarah chamke un ki hiddat se jal gaya hun main but kabhi tha main ek patthar ka teri khatir pighal gaya hun main ek manzil ki aarzu le kar kitne raste badal gaya hun main zindagi ek khwab hai 'sahil' dekh kar kyon machal gaya hun main