kitni sharmili lajili hai hawa barsat ki milti hai un ki ada se har ada barsat ki jaane kis mahiwal se aati hai milne ke liye sohni gati hui saundhi hawa barsat ki us ke ghar bhi tujh ko aana chahiye tha ai bahaar jis ne sab ke waste mangi dua barsat ki ab ki barish mein na rah jae kisi ke dil mein mail sab ki gagri dho ke bhar de ai ghata barsat ki dekhiye kuchh aise bhi bimar hain barsat ke botalon mein le ke nikle hain dawa barsat ki jeb apni dekh kar mausam se yari kijiye ab ki mahngi hai bahut aab-o-hawa barsat ki baadalon ki ghan-garaj ko sun ke bachche ki tarah chaunk chaunk uthti hai rah rah kar faza barsat ki raste mein tum agar bhige to khafgi mujh pe kyun mere munsif pe khata meri hai ya barsat ki hum to barish mein khuli chhat par na soenge 'nazir' aap tanha apne sar lije bala barsat ki