kiya gardishon ke hawale use chaak par rakh diya ki banne bigadne ka har faisla khak par rakh diya mujhe qasr-e-tabir ki us ne sab kunjiyan saunp din magar chhin kar khwab aankhon se aflak par rakh diya siwa rakh hone ke ab koi chaara bacha hi nahin sharar-e-hawas kis ne ye mere khashak par rakh diya koi hai jo girdab-e-gham se bachae hue hai mujhe ki ek mehrban hath phir chashm-e-namnak par rakh diya koi kaam 'aslam' bana hi nahin wahshaton ke baghair jala kar charagh-e-junun taq-e-idrak par rakh diya