kiya hai dil ne begana jahan-e-murgh-o-mahi se hamein jagir-e-azadi mili darbar-e-shahi se khila hai ghuncha-e-hairat hawa-e-gah-gahi se hue majzub rafta rafta us ki kam-nigahi se teri duniya mein ai dil hum bhi ek goshe mein rahte hain hamein bhi kuchh ummiden hain teri aalam-panahi se reaya mein shahanshah-e-junun ki hum bhi dakhil hain hamein bhi kuchh na kuchh nisbat to hai zill-e-ilahi se hue hain bas-ki baiat us nazar ke khanwade mein faqiri se talluq hai na matlab baadshahi se kiya hai us nazar ne sarfaraaz ahl-e-mohabbat ko kisi ko taj-dari se kisi ko be-kulahi se kahan wo khanuman-barbaadi-e-ishq aur kahan ye hum phira karte hain yunhi dar-ba-dar wahi tabahi se