kiya maine ro kar fishaar-e-gareban

kiya main ne ro kar fishaar-e-gareban
rag-e-abr tha tar-tar-e-gareban

kahin dast-e-chaalak nakhun na lage
ki sina hai qurb-o-jawar-e-gareban

nishan ashk-e-khunin ke udte chale hain
khizan ho chali hai bahaar-e-gareban

junun teri minnat hai mujh par ki tu ne
na rakkha mere sar pe bar-e-gareban

ziyarat karun dil se khasta-jigar ki
kahan hogi yarab mazar-e-gareban

kahin jae ye daur-e-daman bhi jaldi
ki aakhir hua rozgar-e-gareban

phirun 'mir' uryan na daman ka gham ho
na baqi rahe khar-khar-e-gareban


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close