kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista aahista ki aatish gul kun karti hai gulab aahista aahista wafadari ne dilbar ki bujhaya aatish-e-gham kun ki garmi dafa karta hai gulab aahista aahista ajab kuchh lutf rakhta hai shab-e-khalwat mein gul-ru sun khitab aahista aahista jawab aahista aahista mere dil kun kiya be-khud teri ankhiyan ne aakhir kun ki jyun behosh karti hai sharab aahista aahista hua tujh ishq sun ai aatishin-ru dil mera pani ki jyun galta hai aatish sun gulab aahista aahista ada o naz sun aata hai wo raushan-jabin ghar sun ki jyun mashriq sun nikle aaftab aahista aahista 'wali' mujh dil mein aata hai khayal-e-yar-e-be-parwa ki jyun ankhiyan manin aata hai khwab aahista aahista