kiye qarar magar be-qarar hi rakkha hamein to aap ne ummid-war hi rakkha pas-e-fana bhi falak ne ghubar hi rakkha na rakkhi khak na sang-e-mazar hi rakkha kisi ke dard-e-judai ne hum ko jite ji misal-e-abr-e-siyah ashk-bar hi rakkha main tegh-e-yar ka kyun kar na dam bharun jis ne maze khalish ke diye dil-figar hi rakkha mila na chain kabhi hum ko khak ho kar bhi falak ne dosh-e-saba par sawar hi rakkha khayal-e-ariz-e-rangin ne roz aa aa kar khizan mein bhi hamein mahw-e-bahaar hi rakkha kisi ki chashm-e-mukayyaf ne kiya kahin 'nadir' tamam umr hamein baada-khwar hi rakkha