koi aa kar nahin jata dilon ke aashiyanon se rihai ka koi rasta nahin in qaid-khanon se machhere kashtiyon mein baith kar ke ga rahe hain git hawaen muskura kar mil rahi hain baadbanon se zamin walon ne jab se aasman ki or dekha hai parinde khauf khane lag gae unchi udanon se ye sukhe zakhm hain ya rang hain taswir mazi ke mujhe guzre zamane yaad aae in nishanon se hamein apni ladai is zamin par khud hi ladni hai farishte to nahin aane yahan par aasmanon se tumhaara dil yahan par kho gaya to kaisi hairat hai bareilly mein to jhumke tak nikal jate hain kanon se