koi aahat koi sargoshi sada kuchh bhi nahin ghar mein ek behis khamoshi ke siwa kuchh bhi nahin nam ek nayab sa likha tha wo bhi mit gaya ab hatheli par lakiron ke siwa kuchh bhi nahin be-chhue ek lams ka ehsas ek khamosh baat us ke mere bich aakhir tha bhi kya kuchh bhi nahin dosti kaisi wafa kaisi takalluf bartaraf aap kuchh bhi hon magar kya dusra kuchh bhi nahin dekhna ye hai ki milne kis se pahle kaun aae mere ghar se us ke ghar ka fasla kuchh bhi nahin