koi aaseb hai saya hai ki jadugar hai jaane kya baat hai har shakhs ke dil mein dar hai ek hi rele mein bah jaegi khasta buniyaad sail-e-be-mehr ke shanon pe hamara ghar hai tere dil mein bhi mohabbat ki hararat na rahi mera sarmaya-e-ehsas bhi mutthi-bhar hai saneha hai ki hamein luta gaya hai phir bhi shahr lut jaane ka ilzam hamare sar hai jism ujdi hui basti ka khandar lagta hai ruh viran jaziron ki tarah banjar hai mujhe dhadka hai to bas tut ke gir jaane ka soch ka koh-e-garan-bar mere sar par hai jism andar se har ek lamha chatakhta hai 'niyaz' yun to qabron ki si khamoshi mere bahar hai