koi bachne ka nahin sab ka pata jaanti hai kis taraf aag lagana hai hawa jaanti hai ujle kapdon mein raho ya ki naqaben dalo tum ko har rang mein ye khalq-e-khuda jaanti hai rok paegi na zanjir na diwar koi apni manzil ka pata aah-e-rasa jaanti hai tut jaunga bikhar jaunga haarunga nahin meri himmat ko zamane ki hawa jaanti hai aap sach bol rahe hain to pasheman kyun hain ye wo duniya hai jo achchhon ko bura jaanti hai aandhiyan zor dikhaen bhi to kya hota hai gul khilane ka hunar baad-e-saba jaanti hai aankh wale nahin pahchante us ko 'manzar' jitne nazdik se phulon ki ada jaanti hai