koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein

koi bhi dar na mila narasi ke marqad mein
main ghut ke mar gaya apni sada ke gumbad mein

ghubar-e-fikr chhata jab to dekhta kya hun
abhi khada hun main harf-o-nawa ki sarhad mein

mere harifon pe be-wajh khauf ghaalib hai
hai kaun mere siwa mere war ki zad mein

koi khabar hi na thi marg-e-justuju ki mujhe
zamin phalang gaya apne shauq-e-behad mein

ajab tha main bhi ki khud apni hi sana ki 'zeb'
phir ek hajw kahi is qaside ki radd mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close