koi bhi dil mein nahin ab aarzu hai khayal-e-yar mere ru-ba-ru wo bane unwan kitab-e-zist ka aur kya ho us ki khatir justuju meri aankhon mein ye kis ka aks hai kar raha hai kaun mujh se guftugu dekh kar jis ko bahaaren jhuk gain us ki khushbu hai chaman mein chaar su baat koi to bane khanjar utha gar tujhe maqsud hai mera lahu bargah-e-ishq se aai nida hai dar-e-jaanan pe marna aabru muntakhab jis ko mere dil ne kiya us se badh kar kaun hoga khub-ru pi raha hun main nigah-e-yar se hech hain mere liye jam-o-subu khugar-e-dard-e-mohabbat main hi tha kis liye karta main zakhm-e-dil rafu iztirab-e-hijr ka aalam na puchh kar raha hun apne ashkon se wuzu mere dil mein kash 'sair' jhank kar dekh lete apne ahbab-o-adu