koi bhi qaid ai mauj-e-rawan baqi na rah jae

koi bhi qaid ai mauj-e-rawan baqi na rah jae
koi dariya mein sahil ka nishan baqi na rah jae

tere bab-e-karam par jis ko sajde se tammul ho
sar aisa koi ai pir-e-mughan baqi na rah jae

hazar ai but-shikan pamali-e-husn-e-numayan se
koi surat ba-andaz-e-nihan baqi na rah jae

raha hai shor un ka bais-e-jang-o-jadal barson
kahin ab zikr-e-naqus-o-azan baqi na rah jae

tujhe kuchh 'sharm' rakhni hai ab is azm-e-musammam ki
safar thoda sa bhi ai karwan baqi na rah jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close