koi bhi zor kharidar par nahin chalta ki karobar to akhbar par nahin chalta hum aap apna gareban chaak karte hain hamara bas hi to sarkar par nahin chalta kuchh aur chahiye taskin-e-jism-o-jaan ke liye hamara kaam to didar par nahin chalta main jaanta hun mujhe kis ka sath dena hai main billi ban ke to diwar par nahin chalta usul jitne hain lagu hamin pe hote hain aur ek yar-e-tarah-dar par nahin chalta unhen lihaz nahin hai jo meri marzi ka to main bhi marzi-e-aghyar par nahin chalta na jaane kab tumhein auqat apni dikhla de ab itna zulm bhi nadar par nahin chalta mere sukhan ka bahana hain qafiya o radif main sher kahta hun kuchh tar par nahin chalta rauf 'khair' pahunchta wahin hai hir-phir kar ki ikhtiyar dil-e-zar par nahin chalta