koi chhu jata hai kaun hai ye khushbu ki hawa hai kaun hai ye ye tu jo nahin tujh sa sundar sar-e-shakh khila hai kaun hai ye main itna jagmag kaise hun ye kis ki ada hai kaun hai ye ye jo sans ki lai pe hai raqs-kunan tu hai ki hawa hai kaun hai ye manzar manzar chahkar ke jo mujhe khinch raha hai kaun hai ye ye haar singhaar si saj sanwar gar tere siwa hai kaun hai ye