koi dagh hai mere nam par koi saya mere kalam par ye pahad hai mere samne ki kitab manzar-e-am par kisi intizar-e-nazar mein hai koi raushni kisi baam par ye nagar parindon ka ghol hai jo gira hai dana-o-dam par gham-e-khas par kabhi chup rahe kabhi ro diye gham-e-am par hai 'munir' hairat-e-mustaqil main khada hun aise maqam par