koi diwar na dar jaante hain hum isi dasht ko ghar jaante hain jaan kar chup hain wagarna hum bhi baat karne ka hunar jaante hain ye muhim hadiya-e-sar mangti hai is mein hai jaan ka khatar jaante hain lad gai shakh-e-lahu phulon se aaenge ab ke samar jaante hain jaan jaani hai to jaegi zarur hum duaon ka asar jaante hain kaun hai taba-e-mohmal kis ka kis ka hai kis pe asar jaante hain log use maslahatan kuchh na kahen us ki auqat magar jaante hain raat kis kis ke ude hain purze shahr mein kya hai khabar jaante hain raat kate nahin katti hai magar raat hai ta-ba-sahar jaante hain hum ne bhi dekhi hai duniya 'mohsin' hai kidhar kis ki nazar jaante hain