koi dushman koi hamdam bhi nahin sath apne

koi dushman koi hamdam bhi nahin sath apne
tu nahin hai to do-alam bhi nahin sath apne

sath kuchh dur tere hum bhi gae the lekin
ab kahan jaen ki khud hum bhi nahin sath apne

wo bhi ek waqt tak khurshid-ba-kaf phirte the
ye bhi ek waqt hai shabnam bhi nahin sath apne

nakhun-e-waqt ne kab zakhm ko dahkaya hai
aise ek waqt ki marham bhi nahin sath apne

samne kitni saliben hain pae be-gunahi
aaj lakht-e-dil-e-maryam bhi nahin sath apne

pi ke socha ki kharidenge gham-e-duniya bhi
tai hue dam to dirham bhi nahin sath apne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close