koi fariyaad mujhe toD ke san se nikli

koi fariyaad mujhe tod ke san se nikli
yun laga jaise meri ruh badan se nikli

aadatan main kisi ehsas ke pichhe lapka
dafatan ek ghazal dasht-e-sukhan se nikli

rang kis ka tha jo dastak se numudar hua
kis ki khushbu thi jo kamre ki ghutan se nikli

kis ka chehra tha jo sadiyon ke bhanwar se ubhra
kaisi wahshat thi jo barson ki thakan se nikli

ek sae ke taaqub mein koi parchhain
pyas odhe hue sahra-e-badan se nikli

kuchh to aisa tha ki buniyaad se hijrat kar li
khak yunhi to nahin apne watan se nikli

rakh jamne lagi jab raat ki aankhon mein 'nabil'
nind aahista se bistar ki shikan se nikli


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close