koi hai jo gham nahin jhelta kise har nafas mein sukun hai tere chaara-gar ko khabar nahin tere apne bas mein sukun hai kisi maslahat ke ghubar mein kahan rasta nazar aaega use ja ke dekhiye dosto jise pesh-o-pas mein sukun hai mere raste bade narm-khu wo shumal ho ki junub ho mere qulzum-e-gham-e-jawedan tere nile ras mein sukun hai use be-numu kisi khwab ne kahin gahri nind sula diya use bha gai hain kahawaten use bhi qafas mein sukun hai kabhi hadson se dara nahin kabhi faislon se phira nahin meri be-yaqiniyan be-khabar meri dastaras mein sukun hai