koi hasin shai jo nazar se guzar gai

koi hasin shai jo nazar se guzar gai
ehsas ki fazaon mein khushbu bikhar gai

wo dhup jo chadhi thi fasilon pe tez tez
lamhon ki dor tham ke niche utar gai

din aaj ka hawa ki tarah bhagta raha
aur raat aai aisi ki aa kar thahar gai

khidki jo rah gai thi khuli apne room ki
us ko gali ki tez hawa band kar gai

badli se sar uthae hue chand ki nazar
belon ko chhedti hui shahtut par gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close