koi hota hai, har ek aashna achchha nahin hota zarurat se ziyaada rabta achchha nahin hota sambhal kar khelna chaho to dil se khel sakte ho bachao hath tuta aaina achchha nahin hota jo viranon mein hote hain wo ghar mahfuz hote hain kisi ki dastaras mein ghonsla achchha nahin hota dubo degi gharelu kashmakash masum bachchon ko kinaron mein ziyaada fasla achchha nahin hota taghaful tera shewa hai magar ai bhulne wale mohabbat ke dinon ko bhulna achchha nahin hota kisi ki baat sunna bhi zaruri hai tafawut mein ki yak-tarfa koi bhi faisla achchha nahin hota samundar bazuon ko aazmata hai kinare tak masafat mein shikasta hausla achchha nahin hota gali mein gir bhi sakta hai koi rah-gir thokar se dariche se har ek ko dekhna achchha nahin hota