koi hota yahan is safar mein mera sath deta koi is dagar mein mera aaj main kha raha dar-ba-dar thokaren aashiyan tha kabhi har shajar mein mera log jo wah wahi se thakte na the aib dikhta unhen ab hunar mein mera tu bhi chupke se daman chhudana nahin ek tu hi to hai is nagar mein mera us ko tab meri baaton pe hoga yaqin nam aa jaega jab khabar mein mera hai bharam us ko ek pal mein ho jaega ho na paya koi umr bhar mein mera khai thin jis ne qasmen wo chalta bana chhod kar ke safina bhanwar mein mera