koi jab tak ba-khuda milta nahin aadmi ko rasta milta nahin dil ke andar jhank kar dekho zara kaun kahta hai khuda milta nahin hain nazar mein saikdon chehre magar phul sa koi khila milta nahin zehn ke sare dariche band hain dil ka darwaza khula milta nahin kis qadar uljhi hui hai zindagi dor ka koi sira milta nahin sar to dekhe hain tere dar par jhuke dil magar koi jhuka milta nahin har dawa milti hai sunta hun magar marham-e-zakhm-e-sada milta nahin ai 'sada' itne ghamon ke bawajud aankh mein aansu bhara milta nahin