koi jadu jagana chahta hun tumhein apna banana chahta hun agar ek bar tum aawaz de do to main bhi laut aana chahta hun tumhaare shahr mein duba hai suraj musafir hun thikana chahta hun tumhin ko jitne ki aarzu hai tumhin se haar jaana chahta hun tumhaare sath is duniya se kuchh dur nai duniya basana chahta hun dukhon se kaun duniya mein bacha hai magar tum ko bachana chahta hun nihayat tez hain dariya ki maujen magar us par jaana chahta hun abhi kuchh log hain us par mere bacha kar un ko lana chahta hun yahin hathon se chhuti thi kalai yahin ab dub jaana chahta hun lahu dene ka mausam ja chuka hai ab apna aab-o-dana chahta hun isi shishe se jo tuta hua hai main ek khanjar banana chahta hun 'sana' is mahfil-e-sher-o-sukhan mein ghazal main bhi sunana chahta hun