koi jahan mein na yarab ho mubtala-e-firaq kisi ki jaan ki dushman na ho bala-e-firaq hazar tarah ke sadme ise gawara hain magar utha nahin sakta hai dil ja-e-firaq labon pe jaan hai ab sadma-ha-e-duri se khabar visal ki deti hai ibtida-e-firaq zaban band hai ye josh-e-gham ka aalam hai bayan ho nahin sakta hai majra-e-firaq karen jo zabt kaleja sarahiye un ka ki aasman ko bulate hain nala-ha-e-firaq juda 'hafiz' hua kaun tere pahlu se labon par aath-pahr hai jo hae hae firaq