koi kaisa hi sabit ho tabiat aa hi jati hai khuda jaane ye kya aafat hai aafat aa hi jati hai wo kaise hi chalen tham tham qayamat aa hi jati hai bache koi kisi dhab se pa shamat aa hi jati hai sitam kar ke sitam-gar ki nazar nichi hi rahti hai burai phir burai hai nadamat aa hi jati hai zulekha be-khirad aawara laila bad-maza shirin sabhi majbur hain dil se mohabbat aa hi jati hai charagh-o-shama bazm-e-yar kar kar ghair ko phunka dil-e-afsurda mein aakhir hararat aa hi jati hai hua nazron hi nazron mein wo mahshar barq-e-sad-khirman mohabbat ki nigahon se shararat aa hi jati hai pasina aa gaya un ko kiya wada jo aane ka buri hai naz bardari nazakat aa hi jati hai har ek se ab wo kahte hain ki lo hum par ye marte hain jiyenge is tarah kab tak ki ghairat aa hi jati hai nahin kuchh dil ka phirna ahd-e-dushman se tera phirna magar kuchh soch kar aakhir murawwat aa hi jati hai na hoti gar nawed-e-marg kyun kar hijr mein jite mohabbat mein bhi aasaish pe niyyat aa hi jati hai visal-e-ghair ke qisse ko sun kar kya tadapta hun ye arman koi ja sakta hai hasrat aa hi jati hai agar sad-sal kije shukr-e-ulfat kijiye lekin ye wo shewa hai bad-zan phir shikayat aa hi jati hai 'qalaq' khat ghair ka kyun kar na aata kyun na tum padhte qaza likhi hui hazrat-salamat aa hi jati hai