koi khushbu na phul hun main to sar se pa tak babul hun main to teri dargah se gila kaisa khud ko bhi kab qubul hun main to chandni mujh ko sajde karti hai tere qadmon ki dhul hun main to jaane mujh se bichhad gaya hai kaun har janam mein malul hun main to tifl-e-dil ki dua likhe jis ko us ghazal ka school hun main to kyun dikhate ho mujh ko talwaren lajwanti ka phul hun main to zakhm khata hun shukr karta hun han khilafat usul hun main to 'ashk' is karobari duniya mein aadmi ek fuzul hun main to