koi kuchh bataega kya ho gaya yahan kaise har but khuda ho gaya tazabzub ka aalam raha der tak bil-akhir main us se juda ho gaya use kya mujhe bhi nahin thi khabar ki main qaid se kab riha ho gaya zamin pyas se itni behaal thi samundar ne dekha ghata ho gaya ye duniya adhuri si lagne lagi achanak mujhe jaane kya ho gaya sharab hum ne yaksan hi pi thi magar tujhe is qadar kyun nasha ho gaya