koi kyon bewafa hai kya kahiye apni apni ada hai kya kahiye aap ki kya khata hai kya kahiye dil sitam-ashna hai kya kahiye husn hangama-za hai kya kahiye ishq be-dast-o-pa hai kya kahiye shauq hangama-za hai kya kahiye har-nafas muddaa hai kya kahiye chaarasazon ka kuchh qusur nahin dard hi la-dawa hai kya kahiye qaid-e-hasti se chhut to jate har sitam aasra hai kya kahiye haal-e-'nashad' dekhte kya ho ye bhi shan-e-khuda hai kya kahiye