koi na aaega thak jaoge sada kar ke

koi na aaega thak jaoge sada kar ke
tum apne ghar mein muqaffal ho dar khula kar ke

us ek raat ki qimat ada nahin hogi
tamam-umr bhi guzre jo ratjaga kar ke

siwae tirgi kuchh bhi nazar na aaega
tu mujh se dekh to khud ko kabhi juda kar ke

tumhaari aankhon mein behtar dikhai denge hum
tum apne aap ko dekho to aaina kar ke

wo kis tarah tujhe apne qarib aane de
jo apne aap se milta ho fasla kar ke

junun mein bhi hamein taqdis ka khayal raha
huzur-e-ishq se laute to iltija kar ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close