koi nahin ki jise aashna-e-raaz karen to kyun na phir gham-e-dil hi se saz-baz karen bana ke un ko bhi khugar niyaz-e-paiham ka wo din bhi aae ki hum bhi buton se naz karen hisab ho chuka kotah-dastiyon ka to ab khayal-e-silsila-e-gesu-e-daraaz karen agar sharab mein masti bhi hai khumar bhi hai to kyun na aarzu-e-chashm nim-baz karen nazar mein tundi-e-tishna-labi badha ai shauq ki jis se har dil-e-mina ko phir gudaz karen huzur-e-pir-e-mughan laghzishon ki pursish hai lo aao apne bhi qadmon ko sarfaraaz karen safar shabab ka gar uzr tha to ab sar-e-sham qaza-e-umr padhen niyyat-e-namaz karen