koi parda miyan-e-ishq hail ho nahin sakta

koi parda miyan-e-ishq hail ho nahin sakta
ye had hai to bhi ab madd-e-muqabil ho nahin sakta

tera ahd-e-mohabbat tut kar ahd-e-mohabbat hai
magar dil tut jata hai to phir dil ho nahin sakta

mohabbat mein parastish ka maqam uncha sahi lekin
ye gham insan ki fitrat mein shamil ho nahin sakta

mere azm-e-safar mein ye tera husn-e-sukun-afza
charagh-e-rah ban sakta hai manzil ho nahin sakta

giraya hai nazar ki us bulandi se mujhe tu ne
main ab apni nigahon ke bhi qabil ho nahin sakta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close