koi puchhe to na kahna ki abhi zinda hun waqt ki kokh mein ek lamha-e-ainda hun zindagi kitni hasin kitni badi neamat hai aah main hun ki use pa ke bhi sharminda hun kya ada hone ko hai sunnat-e-ibrahimi aag hi aag hai har samt magar zinda hun zindagi tu jo sunegi to hansi aaegi main samajhta hun ki main tera numainda hun tez raftar hawaon ke labon se puchho harf-e-akhir hun main ek naghma-e-painda hun ajnabi jaan ke har shakhs guzar jata hai aur sadiyon se isi shahr ka bashinda hun jaane kin tez ujalon mein nahaya tha kabhi is qadar sakht andheron mein bhi tabinda hun