koi qissa naya suna kar dekh harf se harf ko mila kar dekh jo bhi chadar bichha ke baitha hai us se nazren sabhi mila kar dekh na-gahani si ek aafat hai us ke baatin ko kuchh ghuma kar dekh hila-gar hai kisi nadamat mein us ko rasta koi dikha kar dekh khud pe zahir nahin hai jo ek shakhs us ko mushaf koi padha kar dekh koi sada nahin jahan mein ab khud ko sada yahan bana kar dekh koi bachcha udas baitha hai us ko tu bhi zara hansa kar dekh tujh pe lazim nahin hai ab 'kausar' tu bhi pichha kabhi chhuda kar dekh