koi sada bhi ham-ahang nahin hoti ab sazon se warna dipak jal uthte hain dard bhari aawazon se dharti par saya hai mera aur na main aakash pe hun main ne bas itna hi paya hai unchi parwazon se ek na-bina shakhs ko us ke sae se kya hasil hai phir mujh tira-bakht ko kya milta apne ham-raazon se ruhen phir jismon ka bojh uthae safar par niklengi dhup gharon mein aa pahunchi hai diwaron darwazon se