koi sitam aur koi na zulm yaad rahega

koi sitam aur koi na zulm yaad rahega
hum ko watan se hai jo mohabbat yaad rahegi

jab hum apni har shai bhulte jate honge
bhulte jaane ki ye aadat yaad rahegi

masle gae the jaane kyon ummid ke phul
phulon ki anmol shahadat yaad rahegi

bhul na paun husn wo chehra khwabon jaisa
us se bichhad jaane ki qayamat yaad rahegi

main nahin dunga koi hisab bhi roz-e-mahshar
bakhshish ko darkar hai nisbat yaad rahegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close