koi surat se gar safa ho

koi surat se gar safa ho
aaina-e-dil khuda-numa ho

masha-allah chashm-e-bad-dur
kya khub jawan-e-mah-laqa ho

munsif hon shaikh-o-gabr dil mein
qissa chuk jae faisla ho

dozakh ko bhi mat kar diya hai
ai sozish-e-dil tera bura ho

masnad kaisi faqir hun main
thodi si jagah ho boriya ho

kahte hain wo mere dekhne par
dekho koi na dekhta ho

malum hain waizon ki baaten
us se kahen jo na jaanta ho

yaro samjhao us sanam ko
kaise tum banda-e-khuda ho

gulchin mumkin hai phul tode
bulbul nala bhi jaanta ho

kis se milta hai dekh ai dil
ghafil aisa na ho dagha ho

sun le kabhi mujh faqir ki bhi
allah kare tera bhala ho

ye haal hai naqd-e-dil ko kho kar
jaise koi luta hua ho

ulti ulti na kyun hon baaten
tedhi tedhi hai khafa khafa ho

banda bahar kabhi nahin hai
jab chahe ajal ka samna ho

allah kare nama-e-amal par
tera naqsha khincha hua ho

ai yar kabhi to kaam aao
itni muddat ki aashna ho

abru se chashm se nigah se
aafat ho qahr ho bala ho

kab se ummid-o-bim mein hain
jo kuchh hona ho ya khuda ho

kuchh rahm bhi hai khuda khuda kar
bande se sabr ta kuja ho

padhte ho 'saba' buton ka kalima
kahne ko banda-e-khuda ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close