koi takra ke subuk-sar bhi to ho sakta hai meri tamir mein patthar bhi to ho sakta hai kyun na ai shakhs tujhe hath laga kar dekhun tu mere wahm se badh kar bhi to ho sakta hai tu hi tu hai to phir ab jumla jamal-e-duniya tera shak aur kisi par bhi to ho sakta hai ye jo hai phul hatheli pe ise phul na jaan mera dil jism se bahar bhi to ho sakta hai shakh par baithe parinde ko udane wale ped ke hath mein patthar bhi to ho sakta hai kya zaruri hai ki bahar hi numu ho meri mera khilna mere andar bhi to ho sakta hai ye jo hai ret ka tila mere qadmon ke tale koi dam mein mere upar bhi to ho sakta hai kya zaruri hai ki hum haar ke jiten 'tabish' ishq ka khel barabar bhi to ho sakta hai