koi tamir ki surat nikalo koi taza bina-e-ishq dalo bulati hain tumhein yaaden purani charagh-e-raftagan fursat nikalo mujhe chehron se khauf aane laga hai mere kamre se taswiren hata lo ye dariya hai guzar jaana hai is ko musafir ho tum apna rasta lo kahan ab wo libas-e-waza-dari bahut jaano agar ghurbat chhupa lo wafa qimat nahin jo laut aae tum apna az-sar-e-nau jaeza lo nahin aazar-e-jaan koi to mirza kisi diwar ka saya utha lo