koi to tark-e-marasim pe wasta rah jae wo ham-nawa na rahe surat-ashna rah jae ajab nahin ki mera bojh bhi na mujh se uthe jahan pada hai zar-e-jaan wahin pada rah jae main sochta hun mujhe intizar kis ka hai kiwad raat ko ghar ka agar khula rah jae kise khabar ki isi farsh-e-sang par so jaun mere makan mein bistar mera bichha rah jae 'zafar' hai behtari is mein ki main khamosh rahun khule zaban to izzat kisi ki kya rah jae