koi to zehan ke dar par zarur dastak de agar shuur na de la-shuur dastak de tulu-e-subh ka manzar ajib hota hai jab aasman se sada-e-tuyur dastak de is intizar mein hai mera qasr-e-be-khwabi ki koi nind-pari koi hur dastak de fasil-e-shahr-e-tamanna ki tirgi bhi chhate kabhi to us pe koi subh-e-nur dastak de phir ek bar azab-e-shikastagi se guzar phir us ke dar pe dil-e-na-subur dastak de ana ke khol se niklen to yun bhi mumkin hai dar-e-faqir pe dast-e-ghurur dastak de hum aur nur ki khairaat mangne jaen hamare dar pe to khud koh-e-tur dastak de mujhe ghayab ka aalam ziyaada ras aaya magar kabhi kabhi shauq-e-zuhur dastak de hudud-e-waqt ke darwaze muntazir hain 'nasim' ki tu ye fasle kar ke ubur dastak de