koi tohmat ho mere nam chali aati hai jaise bazar mein har ghar se gali aati hai teri yaad aati hai ab koi kahani ban kar ya kisi nazm ke sanche mein dhali aati hai ab bhi pahle ki tarah pesh-raw-e-rang-o-sada ek munh-band si be-rang kali aati hai chal ke dekhen to sahi kaun hai ye dukhtar-e-raz roz-e-awwal se jo bad-nam chali aati hai ye mere karb ka aalam rahe yarab aabaad is zamin se bu-e-aulad-e-'ali' aati hai