koi tum jaisa tha aisa hi koi chehra tha yaad aata hai ki ek khwab kabhi dekha tha raat jab der talak chand nahin nikla tha meri hi tarah se saya bhi mera tanha tha jaane kya soch ke tum ne mera dil pher diya mere pyare isi mitti mein mera sona tha wo bhi kam-bakht zamane ki hawa le ke gai meri aankhon mein meri mai ka jo ek qatra tha tu na jaga magar ai dil tere darwaze par aisa lagta hai koi pichhle pahar aaya tha teri diwar ka saya na khafa ho mujh se rah chalte yunhi kuchh der ko aa baitha tha ai shab-e-gham mujhe khwabon mein sahi dikhla de mera suraj teri wadi mein kahin duba tha ek meri aankh hi shabnam se sharabor rahi subh ko warna har ek phul ka munh sukha tha tum zara tham lo aa kar kabhi paimana-e-jaan dekho dekho mere hathon se abhi chhuta tha