koi umid ka tara kahan se milta hai ye muflisi ko sahaara kahan se milta hai sawal ye nahin khanjar hai kin ke hathon mein sawal hai ki ishaara kahan se milta hai koi jo dub ke dekhe to jaan paega hamein pata hai kinara kahan se milta hai bata ai zindagi har-dam tujhe meri khatir faqat ghamon ka pitara kahan se milta hai sawal hum se karo tum tabhi to jaanoge jawab koi karara kahan se milta hai