koi ummid nahin baqi magar dekhte hain

koi ummid nahin baqi magar dekhte hain
bistar-e-marg pe hain jaanib-e-dar dekhte hain

ek mahtab sar-e-baam-e-falak hai raushan
aur hasrat se use khak-basar dekhte hain

ab meri zat ki le kar bhi talashi kya hai
main udhar hun hi nahin aap jidhar dekhte hain

itni shiddat se teri kam-nazari ka dukh hai
jitni hairat se mujhe ahl-e-nazar dekhte hain

jitne raste hain meri wapsi par hanste hain
aur hiqarat se kinaron ke shajar dekhte hain

aap bhi gher ke lae hue lagte hain yahan
aap bhi kis se mukhatib hain kidhar dekhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close