koi waqia ho ya hadisa kahun kaise main ki bura hua

koi waqi'a ho ya hadisa kahun kaise main ki bura hua
ki kahin bhi kuchh bhi kabhi bhi kya hai bina khuda ki raza hua

mera jurm main ne chhupa liya bhale hi tamam jahan se
pada bojh aisa zamir par ki gunah khud hai saza hua

na kisi ne dekhi shaguftagi na kisi ne us ka zawal hi
wo jo phul hae ujad mein khila aur khil ke fana hua

ye jo mang mang ke khilaten mere dost tu ne bator lin
tera martaba bhale badh gaya tera qad kahan hai bada hua

rahin raunaqen 'sada' raunaqen mere ranj-o-gham ke dayar mein
bhara ek zakhm agar kabhi to ek aur zakhm hara hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close