kothe ujad khidkiyan chup raste udas jate hi un ke kuchh na raha zindagi ke pas do pal baras ke abr ne dariya ka rukh kiya tapti zamin se pahron nikalti rahi bhadas mitti ki saundh jate hue sath le udi dali ka loch pat ki sabzi kali ki bas ashkon se kis ko pyar hai aahon se kis ko uns lekin ye dil ki jis ko khushi aa saki na ras hoshyar ai nawed-e-ajal lut na jaiyo phirta hai koi aath-pahr dil ke aas pas aansu ho mai ho zahr ho aab-e-hayat ho juz khun-e-arzu na mujhe zindagi ki pyas jaise kabhi talluq-e-khatir na raha yun ruth kar chali gai 'shohrat' har ek aas