ku-e-dushman se use chhup ke nikalte dekha hum ne naqsh-e-qadam-e-yar ko chalte dekha hae kya haal dam-e-wasl hamara hoga bosa lene mein tumhein rang badalte dekha abr ban kar jo baras padne ko aaya waiz be-tarah hum ne khum-e-mai ko ubalte dekha ye bhi pina hai koi chaal hai ye bhi koi har-qadam par unhen sau bar sambhalte dekha yahi aankhen hain ki jin mein nahin ab nam ko ashk inhin aankhon se kabhi khun ubalte dekha hashr ke roz na tab abr-e-karam ko aai mujh gunahgar ko jab dhup mein jalte dekha gesu-e-hur kaho sabza-e-turbat kaisa qabr-e-dushman se dhuan hum ne nikalte dekha kucha-e-ishq mein allah re pa-mardi-e-dil thokaren kha ke use hum ne sambhalte dekha ghair ke ghar se jhijakte hue tum nikle the rukte dekha tumhein phir chhup ke nikalte dekha dil mein kya jaan thi kya qatra-e-khun ki thi bisat malte dekha use hathon se masalte dekha phul lale ka khila tha ki shafaq sham ki thi wasl ki raat ko bhi rang badalte dekha kabhi kuchh raat gae ya kabhi kuchh raat rahe hum ne in parda-nashinon ko nikalte dekha khun-e-dil par hai abas rashk teri mehndi ko apni hi aag mein hum ne use jalte dekha dil-e-betab tha ya aag ki chingari thi kis qadar jild unhen pa-posh se malte dekha wah kya rang hai kya khub tabiat hai 'riyaz' ho zamin koi tumhein phulte-phalte dekha